Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2022

Yahi kahana tha tumse...

 Dekho yaar jyada ghuma-fira ke nahi kahunga, Kyu ki ishare tumhe waise bhi samj nhi aate hai.... Tum acchhi lagti ho kyu ki tum acchhi ho, Aur bhi bahot se karan ahi jo tumhe  itna khas banate hai.... Tumhari batein jinhe main sun kar apne din raat guzaar sakta hoon, Tumhari hasi jisey bas dekh kar main apni sare takleef mita sakta hoon... Tumhara ghussa ab tumhara hai toh woh bhi pyara hi lagta hai, Tumhari aankhein unhe dekh kar bas unn mein doob jane ka mann karta hai... Tum bahot acchi ho shayad isliye tum mujhe itni pasand ho, Jis chehare ki talash thi tum bilkul waisi hi ho... Tumhare jindgi ka mujhe ek hissa ban'na hai, Sukh dukh mein tumhare sath rahena hai,Tumhari har ek khwahish puri karni hai... Main yehi tumse kabhi kaheta nhi bas tumhe khone ke dar se, Magar sach mein tum acchhi lagti ho kyu ki tum acchi ho, Bas yehi kahena tha tumse!!!