Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2021

Oye my Angry Bird

Oye my angry Bird Suno aane wala saal naya hai to advance mein 'Happy New Year'.  Maine kuch list banal hai jo tumne 2021 mein ki hai.  Jhooth na bolo toh 2021 mein tumne kam se kam mujhe 100 bar toh rulaya hi hai sirf apne gusse ki vajah se.  Tumne mere galti per bhi mujhse mafi mangvaee hai aur apni galti per bhi tumne mujhse hi mafi mangvaee hai, apni marzi se tumne tab tak baat ki hai jab tak tumhe  neend nhi aayi aur meri neend haram ki hai.  Yaad toh hoga na apni har zid zid se bhi jyada zid karke mujhe apni puri zid kari hain main naraj ho jata hun to tumne manaya nhi hai mujhe.  Sab chijon ki list banaa rakhi hai maine yad rakhna aur han sabse important to main bhul hi gaya, mere birthday wala din massage ke Intezaar mein din bhar tumse umeed lagaye tha ki kaash tum wish karo, Lekin tumhara koi massage nhi aaya aur fir ek baar uss din bhi rulaya tumne Par iss naye sal ke sath aisa kuchh bhi nhi hoga, 2021 tumhara tha magar 2022 mera hoga bas ek baat...

Long Distance Relationship

Aaj bhale hi door ho tum,  par ek baat kahu, dil ke phir bhi kareeb ho tum Tumse mile hue arsa beet chuka hai lekin phir bhi aisa lagta hai jaise kal hi ki toh baat thi jab hum mile the Mann karta hai tumhein kareeb se dekhne ka, kareeb se janne ka, tumse baat karne ka, tumhara khayal rakhne ka, tumhare saath chalne ka hatho me haath liye aur tumhe dher sara pyaar karne ka Yeh dooriya har pal bahut khatakti hai, pyaar bhari baatein bhi ladaiyo mein badal jaati hai Niyat nahi hoti ek dusre se naraaz ho jaane ki par ek dusre se milne ki tadap, ek dusre ke saath rehne ki tadap aksar narazgi mein badal jaati hai Darta hu tumhein khone se, isliye thoda zyada possessive ho jata hu,  I know nhi hona chahiye isliye faisla liya hai ki khud ko improve karunga Mehnat kar raha hu tumhare liye, humare liye taaki ek behtar zindagi sang jee sakein, aur ek behtar lifestyle jee sakein, us dauraan kabhi busy ho jata hoon to baat nhi hoti Busy hota hoon iska matlab nahi ki tumhare baare mein nhi...

I am so in love with you.

Mujhe pata hai ye baat tumne pehle bhi suni hogi kayi logo ke mu se, aur tumhara vishwaas khatm ho gaya hai is sab se... Lekin, main, sirf kehne ke liye nahi keh raha hai, main ye baat bahut himmat jutane ke baad keh raha hoon...  Main tumse bahut pyaar karta hoon, aur yakeenan pure hosh-o-hawaas mein ye baat keh ra hoon....  Bahut zyada pyaar karne laga hoon tumse, bahut zyada fikr hone lagi hai tumhari, tumhe khone ke khayal se hi mujhe darr lagne lagta hai....  Par jab bhi tumse baat hoti hai, Din bhar ki saari negativity door ho jaati hai, I'm so in love with you. Mann karta hai tumse baat karu, mann karta hai tumhare kareeb aau, tumhara khayal rakhu, tum Jab batein karti ho tab aisa lagta hai ki inhe sunta-hi rahu, sunta-hi rahu.... Bas tumhein apni baaho mein kaid kar, apna banane ka dil karta hai.... Ye baatein bas baatein nahi hain, ye mere dil ka haal hai, jo puri kaabiliyat rakhta hai inhein haqeeqat mein karne ki....  Zarurat hai to bas itni ki tumhara vis...