Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2021

Aati hai yaar tumhari yaad mujhe....

Koi yaad aata hai toh usey bataate kaise hain Bina kuch kahe woh jazbaat baaton mein d ikhaate kaise hain....  Main kahu tumse 'Tumhe miss kar raha tha' toh ajeeb lagega kya..?!  Ya koi meme bhej du aur bol du isey dekh kar tumhari yaad aayi toh theek rahega kya....  Mujhe baaton ko express karna nahi aata Lagta hai main kuch kahunga toh woh zyaada c heesy na ho jaaye....  Ab bohot dino se hamaari baat nahi huyi toh tumhari yaad aane lagi thi....  Par shuruaat karne se issiliye bhi darr lagta hai ki meri pyaari si baaton pe tumhara Haan, Hmm jaisa reply na aaye....  Pehle hum ek doosre ko apni kahaaniyan sunaaya karte the aaj kal bas ek doosre ki insta stories dekh lete hain.....  Mann toh karta hai, t umse pehle ki tarah baat karu,  Par ek sach yeh bhi hai ki Communication gap aa gaya hai, Aur mujhe nahi pata yeh gap todte kaise hain....  Toh tumhe sunaayi de na meri baat agar Toh haan "Tumhari yaad aati hai..."  Pata hai mujhe tumse mi...

Tum mein kuch baat toh hai...

Khwaishein toh bahot hai ,pura karoge kya, Hanth pakd kar chalna hai tumhara chaloge kya....... Pata hai tumahre siwa aaj kal mujhe kuch bhi nazar nhi aata hai, Koshish toh bahot kart hoon tumse dhyaan hatane ki, Par yaar yeh dil mera tumse alag kuch or dekhana hi nhi chahta hai..... Tum mein kuch baat toh hai...matalb bahot khaas wali baat hai, Hone se tumhare ek alag si feeeling hai...matlab bahot sahi wali feeling hai..... Khwab jude hai tumse mere, kabhi pass aao  toh inhse milaunga tumhe, Nazron mein bhi tum hi base ho yaar, kabhi fursat mile toh ek jhalak dikhaunga tumhe....... Dil karta hai ki tumse ek baar jee bhar ke baat ho sake, sirf tum aur mai ho waha, Kuch aisi mulaqat ho sake, Raatein toh ho jaati hai tumhare bina bhi, par tumhari awaaj sunkar nind aa jaye kuch aisi raat ho sake.... Dooriyan hai humare dardmiyan, par phir bhi tum bahot kareeb lagte ho, Wajah nhi pata tumhe chahne ki bas yaar tum mujhe bahot theek lagti ho.... Akele baith ke aankhein meech ke khayalon...

Kya ho tum?

Tumse waisi dosti bhi nhi hai,  Rishta hamaara utna chadha bhi nhi hai, Bas baatein hoti hai tumse woh bhi rozz toh shayad hoti nhi hai. Phir kyun break up jaisa feel hota hai mujhe, Jab tumse baat nahi hoti meri Yeh break up wala dard bina relationship ke m il jaata hai,  Kya ho tum? Tum toh kuch lagti bhi nhi ho meri. Main kisi ke itna peeche nahi padta magar tum rooth jaati ho toh tumhe manaana accha lagta hai,  Main ludo palat dene waala insaan hoon, jab haarne lagta hoon,  Par ek tumhari hasi ke liye pata nhi kyun haar jaana bhi accha lagta hai. Mere saath kuch bhi ghat'ta hai na  main sabse pehle tumhe batana chahta hoon,  Kya huwa tum aaj kal itni pareshan kyun ho,  Uske peeche ki tumse saari kahaani s un'na chahta hoon. Tumse koi rishta nhi hai phir bhi Juda hua sa lagta hoon tumse Ya hai koi rishta? Waise t umhari hasi badi pyari hai,  Aayine ne toh kaha hi hoga,  Tum bohot kareeb ho mere dil ke kahin na kahin tumhe pata hi hoga. Kis...