Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2024

Main theek dikhta hoon, par hoon kya?

Pata hai? Jaisa dikhta hai waisa sach mein nahi hota,  Aur jo lagta hai woh hamesha sach nahi hota...  Log mujhe door se dekh kar hi maan lete hain ki iski zindagi kitni suljhi huyi hai...  Main apni pareshaniyon ka zyaada Prachaar nahi karta na toh sabko lagta hai mujhe kisi cheez ki kami hi nahi hai...  Yahan log dukho ka bhi muqaabla karte hain Tabhi kisi ko kuch bataana Fizool sa lagta hai, Dusro ki zindagi khud se acchi hi dikhti hai nahi toh kabhi meri jagah dekho aa kar saans lena bhi kathin sa lagta hai...  Main theek dikhta hoon, par hoon kya?  Bohot dino se mann mein kuch chal raha hai bol du kya? Tabiyat aaj kal theek nahi rehti kuch na kuch ghat'ta hi rehta hai,  Jo kaam mujhe karna behad pasand hai ussey toh kharcha bhi nahi nikalta hai Kabhi kabhi ek dum hi shaant sa ho jaata hoon main,  Sawaalo ke jawaab dhundhna chahta hoon par kuch soch hi nahi paata hoon main...  Kabhi lagta hai zimmedaariyon ke liye yeh khwaab na chodhna pa...