Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2025

Tumne bataana hi chodh diya mujhe

Tumne bataana hi chodh diya mujhe   Apne din ke baare mein jaise bataati thi   Ab kyun nahi bataati?   Tum shuru karo kuch bolna toh mujhe bhi kuch kehna hai   Main bataana chahta hoon ki aaj tumhari kitni yaad aa rahi thi   Aadat bigad gayi meri   Tumse baat karna jaise   Neend ki dawa bann gayi meri   Tumhare bina din adhoora sa lagta hai   Najaane itni khaas tum   Kab se bann gayi meri   Par ab tum door door lag rahi ho mujhe   Ya pehle jitne hum paas nahi lag rahe   Main puchu wajah jo tumse toh bataogi kya?   Par puchu kaise, jab pehle jaise aaj kal jawaab nahi mil rahe   Tum pareshan ho kisi kaaran se ya ab   Chahna hi chodh diya mujhe?   Kaisi ho? Kya kar rahi ho?   Fizool ki baatein hain, hain na?   Kya karein... Tumne bataana hi chodh diya mujhe