Koi yaad aata hai toh usey bataate kaise hain Bina kuch kahe woh jazbaat baaton mein dikhaate kaise hain....
Main kahu tumse 'Tumhe miss kar raha tha' toh ajeeb lagega kya..?!
Ya koi meme bhej du aur bol du isey dekh kar tumhari yaad aayi toh theek rahega kya....
Mujhe baaton ko express karna nahi aata Lagta hai main kuch kahunga toh woh zyaada cheesy na ho jaaye....
Ab bohot dino se hamaari baat nahi huyi toh tumhari yaad aane lagi thi....
Par shuruaat karne se issiliye bhi darr lagta hai ki meri pyaari si baaton pe tumhara Haan, Hmm jaisa reply na aaye....
Pehle hum ek doosre ko apni kahaaniyan sunaaya karte the aaj kal bas ek doosre ki insta stories dekh lete hain.....
Mann toh karta hai, tumse pehle ki tarah baat karu,
Par ek sach yeh bhi hai ki Communication gap aa gaya hai,
Aur mujhe nahi pata yeh gap todte kaise hain....
Toh tumhe sunaayi de na meri baat agar Toh haan "Tumhari yaad aati hai..."
Pata hai mujhe tumse milne ka bohot mann karta hai par yahi samajh nahi aata tumse puchu kaise
Tumse baat karna chahta rehta hoon Par yahi nahi soch paata ki shuruaat karu kaise
Agar tumse kuch bola maine aur tumhara mujhse baat karne ka mann nahi hua toh, Mera toh dil toot jayega....
Main agar kahu tumse tumhari yaad aati hai Toh yeh kahin zyaada cheesy toh nahi ho jayega?
Mere paas na bohot saari baatein hain
Par unhe sirf tumse hi baatna chahta hoon Tumhari pagalpantiyan dekh kar muskuaraana chahta hoon....
Bohot waqt ho gaya hai khul ke hasa nhi hoon main...
Kabhi kabhi jaan ke kam baatein karta hoon main,
Mujhe lagta hai kahin tum pareshan na Ho rahi ho mujhse....
Yeh rishte banaane ke maamle mein na thoda kaccha sa hoon abhi,
Thoda bhi door jaati ho mujhse toh darr jaata hoon....
Main hamesha taiyaar hoon tumhari baaton mein shaamil hone ke liye,
Bas tum yaad kar liya karo
baaton se baatein nikaalne ki zimmedaari Chalo meri.....
Bas tum shuruaat kar liya karo....
IMU
Comments
Post a Comment