Pehle main sirf tumhare baare mein sochta hi tha na toh tumhara message saamnea hazir ho jaata tha,
Aur ab toh mere text karne pe bhi tumhara reply nahi aata,
Phle toh ek din mein hi hzaar baatein hoti thi, aur ab toh zara sa chat ko scroll karo toh taareeke badal jaati hain bas yahi badlaav mujhse dekha nahi jaata,
Tum sab puchti thi mujhse maine kya kiya din bhar mein Bye bolne ke baad bhi baatein rukti nahi thi ab toh kal baat karte hain kah kar tum chali jaati ho,
Aur mujhe pata hota hai woh kal tumhara kabhi aayega hi nahi Aadat tum hi ne bigaadi meri,
Ab raat bhar aankhein meri so hi nahi paati farrq bas itna hai pehle tumse baat karne ke liye jagta tha aur ab tumhe yaad karte nind nahi aati
Main hamaari puraani chats bhi padhta hoon sirf yeh dekhne ke liye ki aakhir mujhse galti kahan huyi,
Jiske good night ke bina meri raat adhoori rehti thi aaj wahi chat list mein Itni neeche kaise ho gayi?
Mujhe bilkul accha nahi lagta kuch bhi main miss karta hoon tumhem tumhari baaton ko bhiu tumhare voice notes sunta rehta hoon Gaano ki jagah,
Pata hai mujhe lagta tha ki hamaari baaton ka silsila na bohot lamba chalega par shayad tumhe yeh baat manzoor nahi thi,
Tum kitni kahaaniyan bataati thi mujhe tumhe yaad bhi hai? Phir achanak Faasle kyun aaye,
Mujhse toh tum bilkul door nahi thi,
Main sochta hoon ki tumse puchu ki pehle jaisa kuch bhi kyun nahi raha phir lagta hai chalo chodho yaar tumhe ehsaas hota toh aisa hota hi kahan
Mujhe woh saari baat bhi yaad hai jinka tumhare liye koi matlab bhi nahi hoga, Tumse judhe har khayal mere paas hain Jinhe bhulaana ab mumkin bhi nahi hoga
Main miss karta hoon tumhe main bohot miss karta hoon tumhe Kaash itni himmat kahin se mil jaati ki yeh aamne saamne bata sakta tumhe.....
Jitna paas tumhare tha main sach mein utna kisi ke paas nahi aaya,
Bas baaton ka hi toh rishta tha hamaara Par pata nahi kyun tumhe woh bhi raas nahi aaya....
Comments
Post a Comment