Sunhare balon wali ladki,
Surmayi ankhon wali ladki...
Bas ek zalak se apni,
Mera pura dil le gayi wo ladki...
Muze pta nhi tha ki aisa bhi kuch hota hai,
Kisi se bina mile bhi kya khoob Ishq hota hai...
Mai toh nikla tha bade jaroori kaam pe,
Raste main dikh gayi wo instagram pe...
Safed suit main kahi khadi si thi,
Wo Insano ke shaher ek pari thi...
Uske daaye gaal ka til muze laal kar gaya,
Yeh khuda tu yeh kaisa kamal kar gaya,
Uska aur mera ek waqt pr hona, khood mein hi badi ek khubi hai,
uss se dil tudwana bhi ek khoshnaseebi hai...
Wo kano mein chand-bali wali ladki,
Wo othon pr mithi Gaali wali ladki...
Fir maine apne phone ko kas kar thamb liya,
Aur dhire se pahli baar uska naam liya...
Laga ki saare taaron ka ghar uske ankhon mein hai,
Uska toh naam hi koi jaadu-mantar hai, upper ae wo gaane bhi gati hai,
Kaise kaise muze aajmati hai, Koi khabar pahochhaye uss tak yeh,
Ki meri ruh bhi usko chahti hai...
Wo naak main kaali laung wali ladki,
Wo hantho mein mehandi rang wali ladki...
Maine socha ki jara apni kisamt ko aajmata hoon,'
Maine socha ki jara apni kisamt ko aajmata hoon,
Ek dafa uss ke shaher ho aata hoon...
Shayad takra jaye hum kisi gali ya bajar mei,
Uss se har itfaq se milne mai tayar hoon...
Fir ek tafti dopehar main bin bulaya mahemaan,
Uske naam ke alawa main pure shaher se anjaan tha...
Shaam tak uska intejaar karte-karte, uske shaher se bhi rabta ho gya,
Do-chaar khoye logo ko maine rasta bata diya...
Fir dosti ke khatir, puchha shaher ne muzse,
Uss sunahre baalon wali ko toh illm bhi nhi ki tum yaha ho,
Tum kaho toh mai khood ja kar bata doo use, tumahre paas yaha laa kar baitha doo usse...
Jawab diya uske shaher ko maine fir,
Hone ko toh yeh ho sakta hai bahot khoob, magar aise mera dil nhi mane ga mere maheboob,
Haan mai taras raha hoon ki woh meri kahani mein shamil ho, lekin usski raja-madii ke bina kyu uss ki zindgi mein dakhil ho,
Yeh dukane... yeh dukane, yeh chand sitare ruke rahenge dekhte rahenge zaak kar...
Yeh khooda, ho sake toh yeh itafaq kar kisi bajar main uski Dairy gir jaye mere hantho se muzse takrah kar,
Main dheere dheere uska naam loon dete huye Dairy utha kr, wo jara-jara muskooraye apni plke utha kr...
Main pagal hi ho jaunga uski ankho wali khal-bali se aur wo bs Thank You keh kr nikl jayegi, uss pichhli gali se,
Sunhare balon wali ladki,
Surmayi ankhon wali ladki...
Bas ek zalak se apni,
Mera pura dil le gayi wo ladki...
-Amandeep Singh
Comments
Post a Comment